So us k shehar main kuch din thehar k dekhte hain
Suna hai rabt hai us ko kharab halon se
So apne aap ko barbaad kar k dekhte hain
Suna hai dard ki gahak hai chasm-e-nazuk us ki
So hum bhi uss ki gali se guzar k dekhte hain
Suna hai us ko bhi hai sher-e-shayari se shagaaf
So hum bhi moujze apne hunar k dekhte hain
Suna hai bole to batoon se phool jharte hain
Ye Baat hai to chalo baat kar k dekhte hain
Suna hai raat usse chand takta rehta hai
Sitare baam-e-falak se utar k dekhte hain
Suna hai hasher hain us ki ghazal si aankhen
Suna hai us ko hiran dasht bhar k dekhte hain
Suna hai din ko usse titliyan satati hain
Suna hai raat ko jugnu thahar k dekhte hain
Suna hai us ki siyah chashmagi qayamat hai
So us ko surma faroosh ankh bhar k dekhte hain
Suna hai us k labon se gulaab jalte hain
So hum bahaar pe ilzaam dhar k dekhte hain
Suna hai aaiyna tamsaal hai jabeen us ki
Jo saada dil hain usse ban sanwar k dekhte hain
Suna hai jab se hamail hain us ki garden main
Mizaaj aur hi laal-o-gauhar k dekhte hain
Suna hai chashm-e-tasswur se dasht-e-imkaan main
Palang zaaviya us ki kamar k dekhte hain
Suna hai us k badan k taraash aise hain
K phool apni qabayen katar k dekhte hain
Bus ik nazar se lut’ta hai qafila dil ka
So rahrawan-e-tammana bhi dhar k dekhte hain
Suna hai us k shabistan se mutasil hai bahisht
Makeen udher k bhi jalwe idher k dekhte hain
Ruke to gardishen us ka tawaaf karti hain
Chale to us ko zamane thehar k dekhte hain
Kise naseeb k be perahan usse dekhe
Kabhi kabhi dar-o-dewaar ghar k dekhte hain
Kahaniyan hi sahi sab mughalbe hi sahi
Agar wo khuab hai to tabeer kar k dekhte hain
Ab us k shehar main thehren k kooch kar jayen
“FARAZ” aao sitare safar k dekhte hain
0 comments:
Post a Comment