Breaking News
Loading...
Thursday 21 May 2015

Ghazal Kash Main Tere Haseen Haath

08:01
Kash Main Tere Haseen Haath Ka Kangan Hota

Tu Bare Piyar Say Chaao Sey Bare Maan Ke Sath


Apni Nazuk Si Kalaai Mein Charhati Mujh Ko

Aur Bay Taabi Say Furqat Ke Khizaan Lamhom Mein


Tu Kisi Soch Mein Dobi Jo Ghomati Mujh Ko

Main Tere Hath Ki Khushboo Say Mehak sa Jata


Jab Kabhi Mood Mein Aa Kar Mujhe Choma Karti

Tere Hontoon Ki main Hidat Say Dehak Sa Jata


Raat Ko Jab Bhi Tu Neendon Ke Safar Par Jati

Mar-Marein Hath Ka Takiya Banaya Karti


Main Tere Kan Say Lag Kar Kai Batein Karta

Teri Zulfon ko Tere Gaal Ko Choma Karta


Jab bhi tu band-e-qaba kholne lagti janan

Apni ankhon ko tere husan se khaira karta


Mujh Ko Bey Taab Sa Rakhta Teri Chahat Ka Nasha

Main Teri Rooh Ke Gulshan Mein Meehakta Rehta


Main Tere Jism Ke Aangan Mein Khanakta rehta

Kuch Nahi To Yahi Be Naam Sa Bhandhan Hota


Kash Main Tere Haseen Haath Ka Kanghan Hota

0 comments:

Post a Comment

 
Toggle Footer