Breaking News
Loading...
Saturday 11 April 2015

Beauty Tips Skin Care In Summar

08:18
Mausam-e-garma mein khawateen ke liye sabse bara masla ild ki hifazat ka hai kyunke germi ke lambe mausam mein jild bahut jeld kharab ho jati hai. Laikin qudrat ke aisey bahut se anmol tohfay hain jin ki badad se hum apni jild ko khoobsurat bana sekte hain. In mein doodh, anda, dahi aur honey sab se aagay hain. Yeh cheezein jild ko ghazaiyat bakhshti hain. Beuty treatment mein bahut se qudrati jari bootian istemal ki jati hain. In mein arqe glab aur arqe chambeli hain jo sadiyon se istemal honte hain. Yeh jild ko nikharte aur in ko khoobsurat banate hain. Aaam tor per jild ki do iqsaam hote hain jin mein chikni jild aur khushk jild hain.
Agar aap ki jild khushk hai to us ko khoobsurat banana ke liye apni khorak per tawaja dein. Din mein dus se bara glass pani pi lien aur kisi ache doctor se vitamin aur iron ki goliyan likhwa ker un ko istemal kerein. Khush jild ke liye gharelu nuskhe bhi hain jin se jild behter ho sekte hain. Ek chamach honey mein aadha leemo ka rus mila ker lagey aur us ko 10 minute tak chehre per laga rehne dain. Taze pani se chehra dho lain aur yeh amal roza kerein. Aap dekhein gay ke chand hi din mein aap ke jism ko numaya ferq pera hai.
Is ke ilawa aadha chamach balai, ek chamch glycerien aur aur ek leemo ka rus mix ker ke paste bana lein aur raat ko rone se pehle aadha ghanta chehre per lageyin phir dho lein. Is se aap ka chehra aur khoobsura aur shadab ho jaey ga.Is ke ilaya cleansers aur moisturizers ka istemal kerein.


Khush jild ki terah chikni jild ke bhi apne masail hain. Garmiyon mein chikni jild ke masam khul jate hain aur khule masamo mein mailjam jati hai aur is mail ke waja se jild per dane nikal ate hain. Dane chehre ko badnuma buna dete aur takleef ka baees bante hain. Chikni jild wali khawateen ko zyada tez masalon wali aur tali hoey cheezon se perhaiz kerna chaiye. In ko fruits aur sabzi ka istemal zyada kerna chaiye aur apni daily routine mein zyada pani aur juices peene chahiyen. Chikni jild per koi cream na lageyin.Gher mien keel mahooso kke ilaj ke liye bhaap lein. Yeh narm per jaey to in ko narmi se duba ker nikal lein. Is ke baad chehre per gher ka bana hua mask lageyein jis mein 1 chamach shehad, aadha chamach leemo ka rus aur ek ande ki safeedi ho. Is mask ko 20 minute chehre per lagana hai air phir chehre ko saaf taze pani se dho lena hia. Yeh amal hafte mein 1 bar zaroor kerein. Is se aap ka chehra saaf shafaaf ho jaey ga. Jild ki hifazat nahait zaroori hoti hai. Thori se laperwai se chehra ki ranai manand per sekti hai.




0 comments:

Post a Comment

 
Toggle Footer