Mein rone lagun to chup kara deti hai
mein hansun to jhat se muskura deti hai
jataati hai na bataati hai sirf nibhaati hai
Faari sache dil se dosti mein wafa deti hai
baatuni to nahin per iska ik purkhuloos jumla
hamesha apnaaiyat ka ehsaas kara deti hai
khud ye aksar hansaane ki wajah banti hai
bas iski yaad kabhi kabhi rula deti hai
sahi hone per barhaawa deti hai mujh ko
karun koi khata to mujhe samjha deti hai
is andaaz pe kar dun zamaane ko nisaar
jis tarah Faari dosti ka silah deti hai
dikhne me mehtab si baaten iski ghulab si
khushbu si phelti hai jab kuch suna deti hai
iska meher hai ke meri dosti iske tamam
dukh dard ko takaleef ise bhula deti hai
meri dua hai ye sada khush rahe Aameen
ke khud bhi mujhe dil se dua deti hai
ghalat raah bad nigaah buri bala se door
dosti mere dil me FaaRi ko jaga deti hai
hai saath FaaRi to hoon roshan ChiragH
warna hawa pal me kaiin chiragh bujha deti ha
0 comments:
Post a Comment