Jamun ke beshumar tibbi fawaiyd hain. Yeh kae amraaz ke ilaaj mein karaamad sabit hua hai. Marz diabetes ke jis mein lablab eke bigharne se khoon mein sugar ki miqdar ziyada ho jati hai aur urine mein bhi kharij hone lagti hai. Is marz se pore jism mein bighar peyda ho jata hai. Diabetes ka ghizai parhez he wahid ilaaj hai. Jadid medical science bhi diabetes ke hatmi ilaaj se abhi tak aari hai aur tahaal sirf sugar ke tawazun ko barqarar rakhna he ilaaj kehlata hai. Jamun diabetes ko control karne mein kafi mufeed hai. Diabetes type 1 ke bajae diabetes type 2 mein Jamun ka use ziyada faiydemand sabit hai.
Jamun ka use muaawin ghiza ya medicine ke taur par he liya jana chahiye. 20th Century mein boaht arsey tak Allopathic tareqa ilaaj mein bhi sugar control karne ke liye Jamun ka fluid extract use hota raha hai. Mango mein sugar bohat ziyada hoti hai. Lekin diabetic patient kabhi kabhara mango khan eke bad Jambolan kha len to sugar level aitedaal mein rakha ja sakta hai, nez isse mango ki hiddat bhi mutadil ho jati hai. Bengal samet mutadid mumalik mein diabetes ke patients ko Jambolan aur mango ka juice masawi wazan mila kar pilane ka riwaj hai. Yeh mashroob aik umdah ghiza bhi hai, is ke istemal se piyas ki shiddat bhi kam ho jati hai. Sugar ke marz mein Jambolan ka sirka bhi muassir hai. Bashart yeh ke wo qadeem qudrati tareqey ke mutabiq jaman se tayyar shuda ho, syntheticna ho. Mausam e barsat mein ishaal, gastro aur deegar pait ke amraaz ke liye jaman ka vinegar faiydemand hai, jo sadiyon se mutamil hai. Loo lag jane ki soorat mein bhi jaman khane se asraat kam ho jate hain. Jambolan khane se blood ki thickness aur acidity khatam ho jati hai. Face ke daagh, dhabbe, jhaiyyan Jambolan ya Jambolan ke syrup ke musalsal istemal se door ho jate hain aur chehre ki rangat nikhar aati hai..............
0 comments:
Post a Comment