Breaking News
Loading...
Wednesday 4 February 2015

Beauty Tips for Eyes in Urdu and Hindi

06:56
Chehre ki khoobsurti mein palkein buhat ahum kiradar ada karti hain agar aap ki palkein na humwar aur be tarteeb hain to in ki jaron mein cotton ki madad se safayi ki ja sakti hai. Lehaza castor oil lagayain is se aap ki palkein lambi aur ghani ho jayain gi. 

Castor oil aur shehad hum wazan mila lein aur raat ko rozana sone se pehle palkon par
lagayain. Chand hi dinon mein aap ki palkein ghani aur lambi ho jayain gi.
Aankhon ke niche agar siyah halqe hon ya bojhal pan mehsus ho to cotton ke pads ke darmian mein baraf rakhein aur sidhi let kar aankhon par pad rakh lein aankhon ko aaram aaye ga aur yeh amal dohrane mein chand hi dinon mein halqe khatam ho jayein gey.

Waise to din mein kisi bhi waqt aap ankhon ki warzish kar sakti hain magar is ke liye morning ka waqt sab se behtar hai. Bistar par lete lete apna sar ghumye beghair chat(roof) ki taraf dekhe phir aankhain band karein aur apne payon ke anguthe ki taraf dekhin. Is warzish ko das martabah dohrayain phir apni aankhon ko 20 martabah tezi se jhapkayain aur hathiliyon se dhaanp kar inhain aaram punhchayain.

Apni aankhon ko circle ki shakal mein ghumayain pehle right se left (clock wise) phir left se right ki taraf har andaz mein yeh warzish kam az kam das martahab karein. 
Newer Post
Previous
This is the last post.

0 comments:

Post a Comment

 
Toggle Footer