Breaking News
Loading...
Friday 20 February 2015

Eyes Makeup Tips

06:34
Aankhain yani eyes chehray ki aina daar hoti hain. In ankhon ya eyes ki  khoobsurti ko mazeed ubhaarnay kay liye makeup ka sahi istemaal kerna bohut zaroori hai. Chehray ki khoobsorti ka inhesaar makeup kay sahi istemaal per hota hai aur makeup mein sub say ahem kirdaar annkon k makeup ka hota hai.

Zail mein aankoon per makeup kay sahi istemaal ki chund tips Urdu zuaban main darj hain jin per amal ker kay aap na sirf khobsurat dikhaai day sakti hain balkay her taqreeb ki jaan bun sakti hain.

1.Aankho ki bnawat ko madd e nazar rakhna bhi bay had ahem hai. Chooti aankho wali khawateen ko halkay rung ka instemaal kerna chahiye iss  say unki aankhain qadray bari aur khushnuma nazer aati hain.

2.Halkay rung kay libaas k sath gehra eye shadow laga ker aap apni khoobsorti mein izafa ker sakti hain

3.Eye makeup mukammal ho jaye tou aankhon mein kaajal aur bayrooni hissay per eye liner laga ker ap apni aankoon ko saher angaiz had tuk khobsorat bna sakti hain
Eye shade ki khobsorti mein izafa kernay k liye unko achi terha mix ya blend kerna bhi ahem baat hai. Halkay aur gehray Rangoon kay imtezaaj say aankon per khoobsorat rang lagaye ja saktay hain jo apko bay panah haseen dikhnay mein madad gaar sabit hotay hain.

4.Aik ahem baat yeh hai k ager apkay libaas ka rung gehra hai tou eye shadow hargiz gehra na ho. Halka ya darmayana rung bohut bhala maloom hota hai.

0 comments:

Post a Comment

 
Toggle Footer