Breaking News
Loading...
Saturday 7 February 2015

Face Makeup kaise kia jae in urdu and hindi

06:32
kamyab makeup who hota hai jo din bhar taro taza rahy aur isko bar bar theak karna na pare. Is tarah ka makeup tab he kia ja sakta hai jab ap mukhtalif qisam ke cosmetics ko azmae. Ap kabhi ghalti be kary ge jis se ap ka chehra badnuma lagy ga lakin is se ghabrana nahi keun ke ghalti se he insan sikhta hai. Aur kisi cheez ko sikhny ke lye insan ghalteo se he guzerta hai. Bar bar ghalti akhir kar drustage ki taraf mayel karti hai. Makeup ke lye bhi ap yehi tareeqa ekhteyar kary. Tau ap khud he jan jae ge k ap ke chahry pe konsa makeup acha lagta hai. Hamary han mukhtalif musamu ki tarah shadi ka musam bhe chalta hai. Jis main khubsurat nazar any ke lye khubsurat libas aur jewelry ke sat sat ak aur aham marhala makeup ka hota hai
 Aksar khawaten ki jild kisi na kisi maslay ka sheekar hoti hai, is lye makeup karny se pahly khwateen ko apny chehray ka rang yaksa karna parta hai. Is ke leye foundation ka shade muntakhib karty waqt buhat ehteyat baratni parti hai. Foundation ka shade hamesha asa kharedy jo apki rangat se milta julta ho.  Is lye thori se foundation apni hath ki pushat pe lagae aur achi tarah jazab karny ke bad ap isko din ki roshni main dekhy. Aghar foundation apki jild main jazab ho ke ap ki rangat se mil jae tau yeh foundation ap ke lye theak hai. Foundation apki rangat se thora sa gehra ho tau behter hail lakin yad rakhen ke halka shade kabhi na kharedy.
Kali ya gahri rangat ki khwateen ke lye foundation ka shade muntakhib karna khasa mushkil hota hai aur wo hamesha ghalti barate hain. Jis ke nateejay main makeup ki tahen(layers) nazar ati hai. Aghar apki jild ki rangat ka shade dasteyab nahi ho tau ap do shades le ke matluba shade bana sakty hai.Foundation lagaty waqt is bat ka khayal rakhen ke foundation paste shakel main ho jami hwe na ho, isko nuqtu ki shaqal main pure chehray pe thory thory fasly se laga leyn kanu aur gerdan pe be.  Isko pher halky hatho se jazab kar leyn behtar hoga kea ap cosmetic sponge istemal kary lakin khayal rakhe k ap ke hatho ki harkat neechy se oper ki taraf ho. Jab foundation lag jae tau pher oper se nechay ki taraf foundation ko yaksan kar leyn. Is tarah pura chehra yaksan nazar ay ga

0 comments:

Post a Comment

 
Toggle Footer