Breaking News
Loading...
Thursday, 26 February 2015

Egg Mask For Skin

06:42

Chehray ki Khoobsurti kay liye anday ka istemaal mofeed hai. Cosmetic therapy aur surgery is sciencesi dor mein ki ijaad hai is kay mainay hain aaraish jamal ki cheezon say ilaaj’ plastic surgery bhi isi ki aik shaakh hai qudrati tor par har aurat ki tamannna hoti hai keh is kay jsim kay har hissay mein phool ki molaimat tazgi aur mehak hameshah bar qarar rahay. Qudrat nay khood bhi apni taraf say aurat ko husn-o-jamal ka aik namoonah bana kar pesh kia hai is kay jism ki jazbiyat ki hadein biyan say bahir hain. Lekin is kay bawajood is kay jism ko nikhar nay kay liye sadyon pehlay bhi sajawat banwat kay la taadad andaz apnaye gaye thay aur aaj bhi ziadah say ziadah towajjah aur bay shumar tabdiliyon kay sath apnaye ja rahay hain.
Aaj kay dor mein aurat kay khoobsurat aur nazuk jism ko char chand laganay kay liye is qudar jazib nazar aur hirat angaiz ashya aur isqadr dilchasp aur khush kun tariqay ejaad ho chukay hain keh banawat-o-sajawat walay jism par nazar phisal phisal jati hai. Cosmetic surgery kay mehaz operation nahi jaded make up egg make up hai.

Aur dor-e-jadeed kay make up mein cheray ki dilkashi-o-dilfarebi aur sar kay balon ki chamak-o-damak mein anday ko aik numayan moqaam hasil hai is silsilay mein cheray aur baalon kay mokhtalif jamalyati masail kay hal kay motaddid formulay pesh kiye jatay hain jin mein anda aik numayan kirdar ada karta hai.

• Jhaiyan aur jhaiyan cheray par vitamin B aur iron ki kami ki wajah say namoodar hoti hai. In kay liye fruit khana aur doodh(milk) pina bara mofeed hai. Egg khana mofeed hai.

• Haftay mein aik bar bleaching cream cheray par lagayein. Aur anday ki sufaidi mein lemon juice mila mask lagayein

Egg Mask Use:
Yeh mask chehray(face) par lagayein aur das minute tak chehray par laga rehnay dein. Is kay baad neem garam pani say cherah dho dalein. Is kay baad jild par arq gulaab mein pisa hua kafoor mila kar lagayein.

• Cheray ki chaiyon kay liye Elizabeth Arden ka taiyar kar dah anday ka Ardena mask bara mofeed hai yeh mask tube ki surat mein milta hai.

• Mask ko istemaal karnay ka tariqah yeh hai keh mask hameshah ghusal karnay say pehlay lein takeh jab aap mask kay baad ghusal kar kay nik lein to aap ka jism aur cherah dodon tar-o-taza hon. Mask lenay say das minute pehlay chehray par doodh lagayein. Das minute kay baad cotton kay phahe ko neem garam pani mein bhigo kar is say chehray ko saaf karein ab towel ya tissue paper say chehrah khusk kar lein. Aur mirror kay samnay mask ko apnay chehray kay tamam hisson par lagayein.

• Mask laganay say pehlay apnay baalon ko lapaitna na bhulain mask ko garden par bhi lagayein.

• Mask laganay kay baad ankhein band kar kay 20 minute kay liye lait jayein ya easy chair par neem daraz ho kar halki phulki cheez magazine ya book parain lekin aasab par bojh na dalein.

Tarkeeb:
.Aik anday ki sufaidi ko chini ki gol gehri plate ya cup lay mein daal kar khoob pheitain jab is mein achi tarah jhaag uth aaye to aadhay lemon ka ras is mein nichorein ab phir donon cheezon ko pheitain mask taiyar hai.

0 comments:

Post a Comment

 
Toggle Footer