Breaking News
Loading...
Thursday 12 February 2015

Mehndi key Istemaal

07:10
Mehndi  key istemaal ka aghaz qadeem misir se hua tha. Is key elawah mashriq wasta aur Hindustan mein bhi in ka isteamal kia jata tha. Ibteda mein mehndi  ko thandak key hasool key liye istemaal kia jata tha kiun keh yeh aaza ko thandak bahum punchati hai. Tez bukhar ki kaifyat mein mehndi  ko pees kar mathe par lagaya jata tha. Tez garmi aur loo key asrat ko zaail karne key liye bhi ise istemaal karte the. Garam mamalik mein is key ziada istemaal ki ghalban yahi wajah hai. Raftah raftah mehndi ko khoobsorti mein izafah key liye bhi istemaalkia jane laga.

Barr-e-sagheer hind-o-pak mein dulhan key elawah shadi mein shareek hone wali taqreeban tamam hi khawateen apne hathon aur paon mein mehndi  key zariye khoobsorat design banwati hain aur yeh shadi ka aik ahum juz ban chukka hai. Eid aur Bakra Eid mein bhi mehdi lagwane ka khasoosi bando bast kia jata hai. Qadeem misar mein bhi khawateen inhein nail polish ki jagah nail par laga ya karti thien.

Mehnd ka behtareen istemaal is ka balon mein lagana hai. Is key be shumar fawaid hain. 

Doosre khawas key elawa mehndi behtareen conditioner bhi hai. Chemical rung baalon ki saakht ko noqsaan punchate hain jab keh mehndi  in ki hifazat karti hai. Mehndi baalon key oper aik moti the charha deti hai. Jis key bais baal condition aur mote ho jate hain.

Mehndi  key istemaal se baal khoobsoorat ho jate hain. In mein chamak key elawa loch bhi aajat hain aur yeh molaimat inhein set karne mein madad deti hai. Balon aur sar ki jild key liye yeh aik umdah cleanser bhi hai aur detergent key bar’aks yeh sar ki jild ki qudarti tezabyat ko zaa’yel nahi karti jo sehat mand baalon key liye aik lazmi juz ki haisyat rakhti hai.

Mehndi  ka paste lemon juice, eggs aur yogurt ka mixture baalon key liye ab tak daryaft kiye jane wale cleanser aur conditioner mein behtareen qarar dia jata hai. Is mixture key mosalsal istemaal se baalon ki afzaish aur sar ki jild ki sehat bar qarar rakhne mein bhat madad milti hai.

Mehndi key hairat angeiz kamalat ki badolat sanyat karon ne cosmetic ki aisi masnoaat market mein lana shuru kar dein jin mein mehndi ki wafir moqdar bhi shamil hoti hai. Maslan shampoo aur conditioning waghairah.

Mehndi  key elawah doosre mufeed nabati ijza ko bhi in ka cosmetic mein shamil kia jane laga hai. Maslan kayi, Aamlah, Sika Kayi aur Barhami waghairah. Mehndi  powder ko baalon ki sehat aur chamak key liye aik mokammal ghiza tasawwar kia jane laga hai. Baalon key girne, sar ki jild bimaariyon aur baalon key white hone jise amraaz se bachne key liye mehndi  ko dafayi maqsad key liye bhi istemaal kia jata hai. 

0 comments:

Post a Comment

 
Toggle Footer