Breaking News
Loading...
Tuesday, 24 February 2015

Basic Health Tips

06:21
·         Rozana khanay mein kum say kum 2 sabziyaan istemaal karain. Chahain tou paka ker ya ubaal ker khain ya dil chahay tou salad mein istemaal karain

·         Rozana 8 say 12 glass paani peeain. Yeh bay had zaroori hai. Paani na sirf apkay jism ki pani ki zaroorat poori kerta hai balkay nizam e hazm aur jism say gair zaroori ajza ki safaii kay kaam bhi aata hai.

·         Zindagi mein tawazun barqaraar rakhain. Kaam, ghar, dost aur khandaan kay sath braber time guzrain aur tawazun qaim rakhnay ki koshish karain.

·         Apnay jism kay tamam ajza ka khayaal rakhnay kay sath sath daantoon ki safai ka bhi khas khayaal rakhain. Kiyun kay jadeed research kay mutabiq daantoon ki safaai aur hifazat kernay say sehat per achay asraat murattab hotay hain.

·         Khailoon mein hissa lain aur active rahain.

·         Cigarette noshi aur alcohol say perhaiz karain.

·         Rozana walk ya exercise ki routine bnaain aur iss per amal bhi karain. Yeh nihayat zaroori amal hai. Sehat pe bohut achay asraat murattab kerta hai.

·         Neend poori karain. Neend ki kami sehat kay liye achi nahi hoti. Iss liye kum say kum 7 ya 8 ghanatay raat ki neend bohut zaroori hai.

·         Ager aap coffee kay shoqeen hain tou koshish karain is ski jagha koi fresh fruit juice ka istemaal karain. Coffee kay muqablay mein yeh juice ziada faida mund aur sehat afzaa hai.

·         Jitna mumkin ho apni zindagi ko asaan bnaain aur  sehat mund rahain.


·         In tamam urdu health tips per amal kerna apki sehat per musbat asraat murattab karay ga.

0 comments:

Post a Comment

 
Toggle Footer