Breaking News
Loading...
Friday 27 February 2015

Mask Ka Istemal

07:09
Aaj kal gharailu mask tayar karnay ka rujhan farogh paraha hai. Ghar mein banai janewalay mask mein aik faida zarur hai woh yeh kay aap ko apni jild kay taqazon kay mutabiq is mein lachak rakhnay mein asani hosakti hai. Gharailu mask istemal karnay kay liye zaruri hai kay aap ko apni jild ki nauyat say bakhubi agahi ho. Bahot say mask phalon, sabziyon, andon, dudh aur vitamin say bhi tayar kiye jatay hain.

Andon ko mask kay tor par istemal karnay ka rujhan isliye ziyadah hai kay anday har qisim ki jild par malay ja saktay hain aur is ka tariqa istemal bhi asan hota hai. Tazah phalon maslan strawberry ko bhi mask kay tor par istemal kiya ja sakta hai. Strawberry ko katiye ya isay achi terha kuchal kar chahray par maliye is terha kailay ko bhi istemal kiya ja sakta hai kailay mein vitamin calcium phasphoras aur potashium ki miqdar bohot ziyadah hoti hai laihaza inhain istemal karnay ka rujhan bhi aam hai. aam tor par kaylay hassas jild kay liye istemal kiye jatay hain. Timator, papitay, dahi, balaee walay dudh, shahad ko bhi chahray ki jild ki hifaat kay liye istemal kiya jata hai.

Bazaar mein dastiyab mask istemal karnay mein bohot sahulat rehti hai. Ghar mein mask ki tayari kay liye ajzai tarkibi kay liye bohot mehnat karna parti hai aur waqt bhi bohot zaya hota hai. Bahar hal mask bazaar say kharidnay kay bajai beauty saloon say bhi mangwasakti hain. Is ka aik faida yeh hai kay woh aap ki jild say waqif hoti

Pineapple Ka Mask:
Is mask kay istemal say chahray kay murdah khuliye zindah hojatay hain aur yeh chahray ki shadabi mein aham kirdar ada karta hai. aik piyali mein chothai cup annanas ka ras juicer say nikal lain aur is ras ki do tahain apnay chahray par lagalain. Pandrah minute bad isay garam pani say dholain
Strawberry Ka Mask:
Naram aur chamak dar jild kay liye yeh bahot mufeed sabit hotay hain. Muthi bhar tazah paki huee stawbarry lain. Aik cup mein dal kar inhain achi terha garah karlain. Phir isay chahray aur gardan par mal kar sukhnay dain. Bad mein isay nim garam pani say saf karlain. Is say jild mein tazgi aur chusti paida hoti hai. Yeh mask bazaar mein tayar surat mein bhi dastiyab hota hai.
Khushk Jild Kay Liye Mask:
Multani matti baldi aur teen qatray zaitun ka tail aur skin tonic kay chand qatray mila kar 15 minute tak chahray par laga rehnay dain ya badam ko peec kar dudh mein mila kar chahray par lagain. 20-minute bad chahra dholain.

Hassas Jild Kay Liye Mask:
Aik hissa kolain aur aik hissa kailamine lotion mein araq gulab milain aur sirf das minute chahray par lagain. Jild khushk honay par utarlain.

0 comments:

Post a Comment

 
Toggle Footer