Breaking News
Loading...
Monday 9 February 2015

Balo Ki Hifazat Kesy Ke Jae

06:57

Sar ke bal insan ki shakhsiat aur khubsurti main numaya kirdar ada karty hain. In ki hifazat aur banawat is lehaz se aham tawaju ki hami hai. Khas kar khawateen apni balo ki hifazat ke mamly main buhat hasas hoti hain, aur nat nae tareeqy azmati hain ke in ke bal chamakdar aur khubsurat lagy ta ke in ki shakhsiat main nikhar ay.

Jis tarah insan ke lye achi shakal o surat aur rang o roop zaroori hai bilkul isi tarah ghane aur khubsurat bal bhe zaroori sarmaya hain. Khasusan khwateen ko apny balon se be had piyar hota hai. Yeh bilkul theak hai k khwateen apny balo ki khubsurati ke lye hazar han jatan karti hain. Aur na jany kitny he nuskhy aur totkey istemal karti hain. Jin main kuch kar amad sabit hoty hai, aur kuch nahi kuen ke inko yeh ilm he nahi hota ke mukhtalif noyat ke chemicals aur hair dye jo ke sampoo or bal dhony ke ajza main shamil hoty hain in ka istemal kia hai. Balo ko khubsurat aur dilkasht banay ke chakar main aksar khwateen nuqsan uthati hai, khasusan woh jin ke bal be ronaq aur chamak se aari hoty hain.
Bazar main mujud mukhtalif qisam ke shampoo istemal karny ke bad jab inko hair dryer se dry kia jata hai tau in main waqte tor pe chamak ajati hai. Aur who kuch der ke lye bhaly lagty hain lakin waqt ke sat yeh bat waziya ho jati hai, ke yeh ashiya waqti tor pe kar amad hoty hain lakin taweel mudat main nuqsan pohansha rahy hoty hai. Waqt ke sat sat yeh tamam ashia mahangy hoty ja rahy hain kuen ke in main zeyada advance chemicals shamil kye jaty hain jo balo ko zeyada khubsurati dety hai, lakin in he ki waja se aj kal balo main be ronaqi aur kkhushki peeda ho rahi hai aur zeyada jhar rahi hain.
Balo Ki Hifazat  ke Asan Gharehlo Totkey
  • Badam ka tail aur gheghwar baraber miqdar main le ly aur is main vitamin c ki capsole ghol ley aur is amaze se balo main halka halka massage kary aur pher chaar(4) ghanto tak laga rahny dein. Ab in balo ko achi tarah dho ke khuskh kar ly.
  • Alovera kat ke piece lay, aur thora sa pani mila ke chan lyn. Ab is ko kisi tail main mila ke balo pe lagae aur ak ghanty bad dho lay.
.

0 comments:

Post a Comment

 
Toggle Footer